Monday, October 29, 2012

WAFA HAI ZAAT AURAT KI - Nazm

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi..

WAFAA HAI ZAAT AURAT KI...

Magar Jo Mard Hote Hain,

Boht Be'dard Hote Hain,

Kisi Bhanwray Ki Surat Gul Ki Khushbu Loot Jatay Hain..

Suno.!

Tumko Qasam Meri,

Riwaayat Tod Dena Tum,

Na Tanhaa Chhod Ke Jaana,

Na Ye Dil Tod Ke Jaana,

Magar Phir Yuun Hua Mohsin.!

Mujhe Anjaan Raste Par,

Akela Chhod Kar Usne,

Mera Dil Tod Kar Usne,

Mohabbat

Chhod Di Usne," WAFA HAI ZAAT AURAT KI "

Riwayat Tod Di Usne

Sunday, October 28, 2012

mili havaaon mein udne ki wo sazaa yaaron - Waseem Barelvi


mili havaaon mein udne ki wo sazaa yaaron 
ki main zameen ke rishton se kat gayaa yaaron  

wo bekhayaal musaafir main raastaa yaaron  

kahaan thaa bas mein mere usko roknaa yaaron  

mere qalam pe zamaane ki gard aisi thi 

ki apne baare mein kuchh bhi na likh sakaa yaaron 

tamaam shehr hi jis ki talaash mein gum thaa 

main us ke ghar ka pataa kis-se puuchhtaa yaaron 

Pyaas dariyaaon ki nigaahon se chhupa rakhi hai - Iqbal Ashhar


pyaas dariyaaon ki nigaahon se chhupa rakhi hai
Ek badal se badi aas laga rakhi hai

teri aankhon ki kashish kaise tujhe samjhauun
in charaag'on ne meri neend udaa rakhi hai

kyuun na aa jaaye mehekne ka hunar lafzon ko 
teri chithhi jo kitaabon mein chhupa rakhi hai

teri baaton ko chhupaana nahi aata mujhse
tuune khushboo mere lehje mein basaa rakhi hai

khud ko tanha na samajh lena naye deewaanon
khaak sehraaon ki humne bhi udaa rakhi hai

Bikharti doobti saanson ka ghar kahaan jaaye - Meraj Faizabadi



    Bikharti doobti saanson ka ghar kahaan jaaye
    Safar ke baad mera hamsafar kahaan jaaye…

    Nidhaal shaanon par hai kitne haadsaat ka bojh

    Hamara masa’la ye hai ki sar kahaan jaaye…

    Hamare haath bhi kashkol ban gaye hote

    Magar jo khoon mein hai wo asar kahaan jaaye…

Saturday, October 27, 2012

Ek pagal ka khat....

Usse maine hi likha tha, 
Ke lehje barf ho jayein, 
To phir pighlaa nahi karte, 

Parinde dar ke udd jaayein, 
To phir lauta nahi karte, 

Use maine hi likha tha, 
Yaqeen uth jaye to shayad, 
Kabhi wapas nahi aata, 

Hawaaon ka koi toofan, 
Kabhi barish nahi lata, 

Use maine hi likha tha, 

Ke sheesha toot jaaye to, 
Kabhi phir jud nahi paata, 

Jo manzil se bhatak jaaye, 
Wo raahi mud nahi paata, 

Use kehna wo be'maani adhoora khat, 
Use maine hi likha tha, 

Use kehna ke deewane, 
Mukammal khat nahi likhte...!!!

Friday, October 26, 2012

Nadeem Shad Deobandi : Caroron hoke bhi tum log

Mujhe pardes mein rehkar baraabar yaad aata hai
Wo toota hi sahi lekin bohat ghar yaad aata hai

Khuda ne kaisi gehraayi teri aankhon ko bakhshi hai
main inko dekhta hoon to samandar yaad aata hai

Caroron hoke bhi tum log ghutne tek baithe ho
Mujhe wo 313 ka lashkar yaad aata hai

Thursday, October 25, 2012

Betiyon ke bhi liye haath uthaao "Manzar" - By Manzar Bhopali

Zindagi ke liye itna nahi maanga karte
Maangne waale se kaasaa nahi maanga karte

Malik e Khuld se duniya nahi maanga karte
Yaar !! dariyaaon se qatra nahi maanga karte

Ham wo raahi hain liye phirte hain sar par suraj
ham kabhi pedon se saaya nahi maanga karte

Maine Allah se bas khaak e madeena maangi
log apne liye kya kya nahi maanga karte

Betiyon ke bhi liye haath uthaao "Manzar"
sirf Allah se beta nahi maanga karte


Wednesday, October 24, 2012

Pyaas ka ehsaas dariyaa dekh kar


badh gayaa thaa pyaas ka ehsaas dariyaa dekh kar 
ham palat aaye magar paani ko pyaasa dekh kar 

ham bhi hain shaayad kisii bhatki hui kashti ke log 
chiikhne lagte hain Khwaabon mein jazeera dekh kar 

jis ki jitni haisiyat hai uske naam utnaa Khuluus 
bheek dete hain yahaan ke log kaasaa dekh kar 

maangte hain bheek ab apne mohallon mein faqeer 
bhook bhi mohtaat ho jaati hai khatraa dekh kar 

Khudkushi likhi thi ek bevaa ke chehre par magar 
phir vo zinda ho gayi bachchaa bilakhtaa dekh kar 


Tuesday, October 23, 2012

Ek Nazm pyaar ke naam


Khaamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuchh Posheeda Si Baatein Hain

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuchh Chaahat Ki Barsaatein Hain

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seene Mein Chhupaaye Baithe Hain

Kuch Paaye Bina Kuchh Kho Dena
Ye Pyaar Mein Hamne Seekha Hai

Sooraj Mein, Chand Sitaaron Mein
Har Shai Mein Tumhi Ko Dekha Hai

Dhadkan Mein Bhi Naghmaa Bankar
Saagar Ki Tarah Tum Behte Ho

Ye Pyaar Nahi To Tum hi Kaho?
Phir Pyaar Kise Tum Kehte Ho?

Sunday, October 21, 2012

Khoobsurat Qataa'

Bade logon mein ham chhoton ke qad oonche nahi hote

Darakhton mein jo ugty hain shajar oonche nahi hote


Hamein bhi sar bulandi ki tamanna tang karti hai


Magar ham doosron ko rond kar kabhi oonche nahi hote

Thursday, October 18, 2012

Mohabbat Karo !


Zindagi usne ataa ki hai mohabbat ke liye
Dilrubaai ke liye pyaar ki jannat ke liye

Uljhane paal ke mat zindagi dushwaar karo
Khoobsurat hai bohot khoob isse pyaar karo

Subah ko khilte gulaabon mein sajaao isko
Raat ko raat ki raani se milaao isko

Zindagi aisi guzaaro ke ye hasti hi rahe
Chuudiyon ki tarah din raat khanakti hi rahe

Saath jab tak hai mohabbat ki panaaho mein raho
Pyaar hi pyaar karo pyaar ki baahon mein raho

Saturday, October 6, 2012

Is Gham Mein Koi Meri Tarah Mubtila Bhi Ho


Lafzon Main Soz Aayega, Lekin Ye Shart Hai,
Is Gham Mein Koi Meri Tarah Mubtila Bhi Ho....


Tanha Bhatak Raha Huun Sar-e-Dasht Aagahi,
Aawaaz De Koi, Ki Mujay Hausla Bhi Ho....