lab pe paabandii nahiin ehsaas pe pehra to hai
phir bhi ahal-e-dil ko ahvaal-e-bashar kehna to hai
apni Gairat bech Daalein apna maslak chhoD dein
rahnumaaon mein bhi kuchh logon ko ye mansha to hai
hai jinhein sab se zyaada daavaa-e-hubb-e-vatan
aaj un ki vajah se hubb-e-vatan rusvaa to hai
bujh rahe hain ek ek kar ke aqiidon ke diye
is andhere ka bhi lekin saamna karna to hai
jhuuTh kyuN bolein faroG-e-maslehat ke naam par
zindagii pyaari sahi lekin hamein marna to hai
(Sahir Ludhiyaanvi)
No comments:
Post a Comment