sadaa deti hai Khushbu chaand taare bol padte hain
nazar jaisi nazar ho to nazaare bol padte hain
tumhari hi nigaahon ne kaha hai ham se ye aksar
tumhaare jism par to rang saare bol padte hain
mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se
agar laharein muKhaatib hon kinaare bol padte hain
zabaaN se baat karane mein jahaan rusvaai hoti hai
vahaaN Khaamosh aaNkhon ke ishaare bol padte hain
chhupaanaa chaahte hain un se dil ka haal ham lekin
hamaare aaNsuon mein gam hamaare bol padte hain
teri paabandiyon se ruk nahin sakatiin ye fariyaaden
agar ham chup rahein to zakhm saare bol padte hain
No comments:
Post a Comment