Monday, July 25, 2011

koi chehra hua roshan na ujaagar aankhein



koi chehra hua roshan na ujaagar aankhein
aainaa dekh rahi thiin meri patthar aankhein... 


tu nigaahon ki zubaan Khoob samajhta hoga 
teri jaanib to utha karti hain aksar aankhein ...


us ko dekha hai to ab shauq ka vo aalam hai 
apne halkon se nikal aayi hain baahar aankhein

Wednesday, July 6, 2011

apni marzii se kahaan apne safar ke ham hain

apni marzii se kahaan apne safar ke ham hain
rukh havaaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain

pehle har chiiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi duusre ghar ke ham hain


vaqt ke saath hai mittii ka safar sadiyon tak
kisko maaluum kahaan ke hain kidhar ke ham hain

chalte rehte hain ki chalna hai musaafir kaa nasiib
sochte rehte hain ki kis rehguzar ke ham hain

gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein ham
har qalamakaar kii benaam khabar ke ham hain

Monday, July 4, 2011

sadaa deti hai Khushbu chaand taare bol padte hain

sadaa deti hai Khushbu chaand taare bol padte hain
nazar jaisi nazar ho to nazaare bol padte hain

tumhari hi nigaahon ne kaha hai ham se ye aksar
tumhaare jism par to rang saare bol padte hain

mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se
agar laharein muKhaatib hon kinaare bol padte hain

zabaaN se baat karane mein jahaan rusvaai hoti hai
vahaaN Khaamosh aaNkhon ke ishaare bol padte hain

chhupaanaa chaahte hain un se dil ka haal ham lekin
hamaare aaNsuon mein gam hamaare bol padte hain

teri paabandiyon se ruk nahin sakatiin ye fariyaaden
agar ham chup rahein to zakhm saare bol padte hain 
 
(Manzar Bhopali)

Thursday, June 30, 2011

Meraj Faizabadi | Tere Baare mein jab socha nahiin tha

tere baare mein jab sochaa nahii.n thaa
mai.n tanhaa thaa magar itanaa nahii.n thaa 

terii tasviir se karataa thaa baate.n
mere kamare mein aa_iinaa nahii.n thaa 

sama.ndar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
main jab seharaa mein thaa pyasaa nahii.n thaa 

manaane-ruuThne ke khel mein ham
bichhaD jaayenge ye sochaa nahiin thaa 

sunaa hai band kar li us ne aaNkhein
kayi raato.n se vo soyaa nahii.n thaa

Friday, June 10, 2011

daagh duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile

daagh duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile
hamko ye tohfe tumhein dost banaane se mile 


ham taraste hi taraste hi tarasate hi rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile 

Khud se mil jaate to chaahat kaa bharam reh jaataa
kyaa mile aap jo logon ke milaane se mile 

kaise maane ke unhein bhuul gayaa tuu ai 'Kaif'
un ke Khat aaj hamein tere sarahne se mile

faiz the great...

Donon jahaan teri mohabbat main haar ke
Wo jaa raha hai koi shab e gham guzaar ke.

Veeran hai maykada khamo-sagar udaas hai
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujhse bhi dilfareb hain dil rozgaar ke

Thursday, June 9, 2011

aaNkh se aaNkh mila baat banaata kyuN hai

aaNkh se aaNkh mila baat banaata kyuN hai
tu agar mujhse Khafaa hai to chhupaata kyuN hai


Gair lagata hai na apnon ki tarah miltaa hai
tu zamaane ki tarah mujhko sataataa kyuN hai

vaqt ke saath ye haalaat badal jaate hain
ye haqiiqat hai magar mujhko sunaata kyuN hai

ek muddat se jahaaN kaafile guzre hi nahiin
aisi raahon pe charaaGon ko jalaataa kyuN hai

Jameel khairabaadi ki ek aur ghazal

rang e zindagi koi bemazaa nahi hota
jab talak na tum chaaho haadsa nahi hota

aik aik mauj uski nakhudai karti hai
jis safeena ka koi nakhuda nahi hota

keh do tang zarfon se meri zindagaani mein
aise waise logon ka daakhila nahi hota

aik aik saans apni chaahe nazr kar diije
maan ke doodh ka phir bhi haq adaa nahi hota

Jameel khairabaadi

kisi ka jalwa e rangeen, takhayyulaat mein hai
chiraagh banke koi zindagi ki raat mein hai

mehek mehek utha har gosha e hayaat mera
kisi ke jism ki khushboo tasawwuraat mein hai

bohat buland faza mein teri patang sahi
magar ye soch kabhi dor kiske haath mein hai

idhar ki baat bhala kis tarah udhar pohanchi
zaroor koi munafiq hamare saath mein hai

mukhaalfat meri mehengi tujhe padhegi bohat
zamaane tere muqaddar to mere haath mein hai

ham apne aapko mehfooz kis tarah samjhein
abhi hayaat ka har lamha haadsaat mein hai

Wednesday, June 8, 2011

Sar jhukaoge to pathhar devta ho jayega

sar jhukaoge,to patthar devta ho jayega
itna mat chaho use, vo bevafa ho jayega

hum bhi dariya hain,humein apna hunar maloom hai

jis taraf bhi chal padenge, raasta ho jayega

kitni sachhai se mujhse zindagi ne keh diya

tu nahin mera,to koi doosra ho jayega

main khuda ka naam lekar pee raha hoon dosto

zeher bhi ismen agar hoga,dawa ho jayega

sab usi ke hain,hawa,khushboo,zamino-aasman

main jahan bhi jaoonga,usko pataa ho jayega 

 (Basheer Badr)

ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai

ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai
abhi tujh se milta julta koi doosra kahaan hai

kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishtaa tere mere darmiyaan hai

merey saath chalne wale tujhey kia milaa safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai

unhi rastoon ne jin per kabhi tum the saath mere
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahaan hai...


(Bashir Badr)

Monday, June 6, 2011

Meri pasandeeda ghazal

lab pe paabandii nahiin ehsaas pe pehra to hai
phir bhi ahal-e-dil ko ahvaal-e-bashar kehna to hai 
 
apni Gairat bech Daalein apna maslak chhoD dein
rahnumaaon mein bhi kuchh logon ko ye mansha to hai
 
hai jinhein sab se zyaada daavaa-e-hubb-e-vatan
aaj un ki vajah se hubb-e-vatan rusvaa to hai
 
bujh rahe hain ek ek kar ke aqiidon ke diye
is andhere ka bhi lekin saamna karna to hai 
 
 jhuuTh kyuN bolein faroG-e-maslehat ke naam par
zindagii pyaari sahi lekin hamein marna to hai 



(Sahir Ludhiyaanvi)

Sunday, June 5, 2011

one of my favourite

  hamare shauq ki ye inteha thi
  qadam rakha ke manzil raasta thi

  bichhad ke daar se ban ban phira woh
  hiran ko apni kastoori saza thi


  kabhi jo khwaab tha, woh pa lia hai
  magar jo kho gayi woh cheez kya thi?

  main bachpan mein khilone todta tha
  mere anjam ki woh ibtada thi
 (ban ban : jungle jungle)

  muhabbat mar gayi mujh ko bhi gham hai
  mere achhay dinoN ki aashna thi...

har ek chehre ko zakhmon ka aaina na kaho

har ek chehre ko zakhmon ka aaina na kaho
ye zindagi to hai rehmat ise sazaa na kaho

na jaane kaun si majburiyon ka qaidi ho
vo saath chhod gaya hai to bevafa na kaho

ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo mera dost tha kal tak use bura na kaho

hamaare aib hamein ungliyon pe ginvaao
hamaari peeth ke peechhe hamein bura na kaho

main vaqiyaat ki zanjiir kaa nahiin qaayal
mujhe bhi apne gunaahon ka silsilaa na kaho

(Rahat Indori)

pyaari ghazal

Mujh se baad-e-bahaaran ne ro kar kaha.!
Teri qismat bahaaron ke qabil nahi.!

Teri dunia hai ashkon mai doobi hui.!
Teri aankhen nazaaron ke qabil nahi.!

Meri kashti ko toofan ne bosey diye.!
Boli moj-e-talatum mujhe dekh kar.!

Teri taqdeer main hain bhanwar hi bhanwar.!
Teri kashti kinaron ke qabil nahi.!

Usne mehfil se muj ko utha kr kaha.!
Mera peecha khuda ke liye chhod do.!

Meri mehfil mein phir na aana kabhi.!
Ye muhabbat ke maaron ke qabil nahi...

Qataa

Kaisi tauheen-e-lafz-e-hasti hai
Rehne waalo yeh kaisi basti hai
Maut ko log dete hain kaandha
Zindagee rehem ko tarasti hai

Mujhe bujhaa de, mera dard muKhtasar kar de

Mujhe bujhaa de, mera dard muKhtasar kar de
Magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

Meri talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
MaiN tera raasta chhoRuuN to dar-ba-dar kar de

JudaaiiyoN ki ye raateN to kaaTni hoNgi
KahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasar kar de

Tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa huuN
Ke jaise bachaa kitaabeN idhar-udhar kar de


Waseem Barelvi

haal dukh dega to maazi pe nazar jaayegi

haal dukh dega to maazi pe nazar jaayegi
zindagi haadsa ban ban ke guzar jaayegi

tum jo ye mashwara tark-e-wafa dete ho
zindagii ek raat nahin hai jo guzar jaayegi

unki yaadon ka tasalsul jo kahin toot gaya
zindagi tu meri nazron se utar jaayegi

tum kisi mod pe awaaz na dena mujhko
zindagi itne sahaare par theher jaayegi


(Waseem Barelvi)

Sudarshan Faqir

Meri zubaan se meri daastaan suno to sahi
Yaqeen karo na karo mehrbaan suno to sahi

Chalo yeh maan liya mujrim-e-muhabbat hain
Hamaare jurm ka hum se bayaan suno to sahi

Banoge dost mere tum bhi dushmanon ik din
Meri hayaat ki aaho-fugaan suno to sahi

Labon ko see ke jo baithe hain bazme-duniya mein
Kabhi toh unki bhi khamoshiyaan suno to sahi

Manzar Bhopali ki ghazal

zulf-o-rukh ke saaye meiN zindagii guzaari hai
dhoop bhi hamaari hai, chhaaNv bhi hamaari hai

Ghamgusaar chehroN par, aitbaar mat karna
shehr meiN siyaasat ke, dost bhii shikaarii hai

mod lene waali hai zindagi koii shaayad
ab ke phir havaaoN meN ek beqaraari hai

haal KhooN meiN Dooba hai, kal na jaane kyaa hogaa
ab ye Khauf-e-mustaqbil zehan-zehan taarii hai

mere hi buzurgoN ne sar-bulandiyaaN bakhshiiN
mere hi qabeele par mashq-e-saNg-baarii hai

ik ajeeb ThaNDak hai, us ke narm lahjay meN
lafz-lafz shabnam hai, baat-baat pyaarii hai
 
baap bojh Dhotaa thaa, kyaa jahez de paataa
is liye wo shehzaadi aaj tak kuNvaarii hai

kah do Meer-o-Ghalib se, ham bhi sher kahte haiN
wo sadi tumhaari thi, ye sadii hamaari hai

karbalaa nahiiN lekin, jhooT aur sadaaqat meiN
kal bhii jaNg jaari thi, ab bhii jaNg jaari hai

gaaNv meN muhabbat kii rasm hai abhii “Manzar”
shehr meiN hamaare to, jo bhii hai madaari hai

Friday, June 3, 2011

tum na maano magar haqiiqat hai , ishq insaan ki zaruurat hai....

tum na maano magar haqiiqat hai 
ishq insaan ki zaruurat hai 

kuchh to dil mubatalaa-e-vehshat hai 
kuchh teri yaad bhi qayaamat hai 

mere mahabuub mujh se jhuuth na bol 
jhuuth suurat-e-gar sadaaqat hai 

jee raha huun is aitmaad ke saath 
zindagi ko meri zaruurat hai

husn hi husn jalve hi jalve 
sirf ehsaas ki zaruurat hai

us ke vaade pe naaz the kyaa kyaa 
ab dar-o-baam se nadaamat hai 

us kii mahafil mein beth kar dekho 
zindagii kitni Khoobsuurat hai 

raastaa kaT hii jaayegaa 'Qabil'
shauq-e-manzil agar salaamat hai 

jab kabhi bolnaa vaqt par bolnaa

jab kabhi bolnaa vaqt par bolnaa
muddaton bolnaa mukhtasar bolnaa...

Daal dega halaaqat mein ik din tujhe
ai parinde tera shaakh par bolnaa...

pehle kuch duur tak saath chal ke parakh
phir mujhe hamsafar! hamsafar bolnaa...

umr bhar ko mujhe besadaa kar gaya
tera ik baar muunh pher kar bolnaa...

meri Khaanaabadoshi se puuchhe koii
kitana mushkil hai raste ko ghar bolnaa...
(Tahir Faraz)

Faiz ki ek pyaari ghazal

bahut mila na milaa zindagii se Gam kya hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai 

ham ek umr se vaaqif hain ab na samajhaao
ke lutf kya hai mere meharbaan sitam kya hai 

kare na jag mein alaav to sher kis maqsad
kare na shehr mein jal-thal to chashm-e-nam kya hai 

ajal ke haath koii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist mein raqam kya hai  

lihaaz mein koii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar mein ab Khizr kaa bharam kya hai 




(Faiz Ahmad Faiz)
 


Apne har har lafz ka Khud aaina ho jaaungaa (Waseem Barelvi)

apne har har lafz ka Khud aaina ho jaaungaa 
us ko chhotaa kah ke main kaise badaa ho jaaungaa...

tum giraane mein lage the tumne socha hii nahin 
main giraa to masa'laa bankar khada ho jaaungaa... 

mujhko chalne do akela hai abhi mera safar 
raasta roka gaya to qaafilaa ho jaaungaa...

saari duniya ki nazar mein hai meraa ahad-e-vafaa 
ek tere kahne se kya main bevafa ho jaaungaa...

Thursday, June 2, 2011

Agar talaash karuuN koii mil hii jaayegaa By Basheer Badr

agar talaash karuuN koii mil hii jaayegaa
magar tumhaarii tarah kaun mujhe chaahegaa

tumhe.n zaruur koii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aaNkhen hamaarii kahaaN se laayegaa

naa jaane kab tere dil par naii sii dastak ho
makaan Khaalii huaa hai to koii aayegaa

main apanii raah me.n diivaar ban ke baiThaa huuN
agar vo aayaa to kis raaste se aayegaa

tumhaare saath ye mausam farishton jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataayega......

lahuu na ho to kalaam tarajumaaN nahiin hotaa

lahuu na ho to kalaam tarajumaaN nahiin hotaa 
hamaare daur mein aaNsuu zubaaN nahiin hotaa 

jahaaN rahegaa vahiin raushanii luTaayegaa 
kisii charaaG kaa apanaa makaaN nahiin hotaa 

ye kis maqaam pe laaii hai merii tanahaaii 
ke mujh se aaj koii badgumaaN nahiin hotaa 

main us ko bhuul gayaa huuN ye kaun maanegaa 
kisii charaaG ke bas mein dhuaaN nahiin hotaa 

'Wasim' sadiyon kii aaNkhon se dekhiye mujh ko 
vo lafz huuN jo kabhii daastaaN nahiin hotaa 


(Waseem Barelvi)

Hina Taimoori

is zamaane mein aise bohat hain
jinke chehre pe chehre bohat hain...

hum se aadaab jeene ke seekho
hum buzurgon mein bethein bohat hain...

naujawaanon ki majbooriyaan hain
sochte kam samajhte bohat hain...

raat rukne ki khwaahish na karna
is ilaaqe mein khatre bohat hain...

ae 'hina' wo bhi doobe yaqeenan
jo samandar mein taire bohat hain...

(Hina Taimuri)

zaraa saa qataraa kahiin aaj agar ubharataa hai

zaraa saa qataraa kahiin aaj agar ubharataa hai
samandaron hii ke lahaje mein baat karataa hai

Khulii chhaton ke diye kab ke bujh gaye hote
koii to hai jo havaaon ke par katarataa hai

sharaafaton kii yahaan koii ahamiyat hii nahii.n
kisii kaa kuchh na bigaado to kaun dartaa hai

zamiin kii kaisi vaqaalat ho phir nahiin chalatii
jab aasmaan se koii faisalaa utarataa hai

tum aa gaye ho to phir kuchh chaandni si baatein hon
zamiin pe chaand kahaan roz roz utarataa hai

Wednesday, June 1, 2011

talab ki raah mein paane se pehle khona padta hai

talab ki raah mein paane se pehle khona padta hai
bade saude nazar mein hon to chhota hona padta hai...

zubaan deta hai jo ae dard teri bezubaani ko
usi aansuu ko phir aankon se baahar hona padta hai...

mohabbat zindagi ke faislon se lad nahi sakti
kisi ko khona padta hai kisi ka hona padta hai....

(Waseem Barelvi)



Monday, May 30, 2011

jal raha hai mera diyaa kaise
meherbaan ho gayi hawaa kaise...
saari basti to ek jaisi thi
sirf mera hi ghar jalaa kaise...
main isi raata se guzroonga
raahzan ko pata chala kaise...
wo qabeela jo muttahid tha kabhi
aaj tukdon mein bat gaya kaise...
jiski aamad se raat darti thi
shaam hote hi dhal gaya kaise...
sar se paa tak mein ek andheraa hoon
keh rahe ho mujhe 'zia' kaise... 


(altaf zia)

Ghazal

mohabbat mein wafadari se bachiye
jahan tak ho adakari se bachiye

her ek soorat bhali lagti hai kuch din
lahoo ki shobda-kaari se bachiye

sharafat aadmiyat dard mandi
bade shehron mein beemaari se bachiye

zaroori kya har ek mehfil mein aana
takalluf ki rawadaari se bachiye

bina pairon ke sar chalte nahi hain
buzurgon ki samajhdaari se bachiye

pyaari ghazal

hai zindagi kitni khoobsurat abhi unhein pata nahi hai,
koi bohat pyaar karne waala jinhein abhi tak mila nahi hai...
meri nigaahon se door mat jaa,sukoon e dil banke dil mein aa jaa,
ye keh rahi hai har ek dhadkan tere bina kuchh mazaa nahi hai...
chali woh aandhi ki tinka tinka bikhkar gaya aashiyaan ka lekin,
jo tod de mere hauslon ko abhi toofan wo uthaa nahi hai...
kabhi tumhare sitam ke aage meri jabeen kham na ho sakegi,
khuda ke darbaar ke alaawa kahiin bhi ye sar jhuka nahi hai...
 

(Shabeena adeeb)

Altaf Zia

kafas mein hoon mujhe azaadiyaan awaaz deti hain,
mere par khol do purvaaiyaan awaaz deti hain...


tumhari yaad se kab tak main apne dil ko behlaoon
chale aao meri tanhaaiyaan awaaz deti hain...


hawaa khushboo se khaali hai fazaa mein ek ghutan si hai
kahaan hain phool waale titliyaan awaaz deti hain...


na jaane kis ghadi kaisi khataayein ho gayi aakhir
humein har mod par rusvaaiyaan awaaz deti hain...


zyaada der main pardes mein ab ruk nahi sakta
mere bachhon ki zimmedaariyaan awaaz deti hain...


bohat oonchi imaarat se utar aao 'zia' saahab
tumhe ab qabr ki gehraaiyaan awaaz deti hain...

 

(Altaf zia)

Sunday, May 29, 2011

Faiz ahmad faiz

nisaar teri galiyon pe ae watan ke jahaan
chali hai rasm ke koi na sar uthaa ke chale
jo koi chaahne waale tawaaf ko nikle
nazar jhuka ke chale jism o jaan bacha ke chale

Munawwar Rana

ye darweshon ki basti hai yahaan aisa nahi hoga
libaas e zindagi phat jaayega maila nahi hoga
share bazaar mein qeemat uchhalti girti rehti hai
magar ye khoon e muflis hai kabhi mehenga nahi hoga...



qalandar sang e marmar ke makaanon mein nahi milta
main asli ghee hoon baniye hi dukaanon nahi milta
sagi behnon ka jo rishta hai ye urdu aur hindi mein
kahin duniya ki do zinda zabaanon mein nahi milta...


jism par mitti malenge paak ho jayeinge hum
ae zameen ek din teri khuraak ho jayeinge hum
ae gareebi dekh raste mein hamein mat chhodna
ae ameeri door reh napaak ho jayeinge hum....

Mohabbat par ek ghazal

Mohabbat Se Rehaa Hona Zaroori ho gaya Hai
Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori ho gaya hai...

Wafa Ke Tajrube Karte Hoe To Umr Guzri,
Zara Sa Bewafa Hona Zaroori ho gaya Hai...

Meri Aawaz Tanhai Main Marti Ja Rahi Hai
Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaaroori ho gaya hai...

Bhanwar Main Hai Kayi Barson Se Apni Kashti-E-Jan
Kisi Ka Na-Khuda Hona Zaroori ho gaya hai ...