Monday, May 30, 2011

jal raha hai mera diyaa kaise
meherbaan ho gayi hawaa kaise...
saari basti to ek jaisi thi
sirf mera hi ghar jalaa kaise...
main isi raata se guzroonga
raahzan ko pata chala kaise...
wo qabeela jo muttahid tha kabhi
aaj tukdon mein bat gaya kaise...
jiski aamad se raat darti thi
shaam hote hi dhal gaya kaise...
sar se paa tak mein ek andheraa hoon
keh rahe ho mujhe 'zia' kaise... 


(altaf zia)

Ghazal

mohabbat mein wafadari se bachiye
jahan tak ho adakari se bachiye

her ek soorat bhali lagti hai kuch din
lahoo ki shobda-kaari se bachiye

sharafat aadmiyat dard mandi
bade shehron mein beemaari se bachiye

zaroori kya har ek mehfil mein aana
takalluf ki rawadaari se bachiye

bina pairon ke sar chalte nahi hain
buzurgon ki samajhdaari se bachiye

pyaari ghazal

hai zindagi kitni khoobsurat abhi unhein pata nahi hai,
koi bohat pyaar karne waala jinhein abhi tak mila nahi hai...
meri nigaahon se door mat jaa,sukoon e dil banke dil mein aa jaa,
ye keh rahi hai har ek dhadkan tere bina kuchh mazaa nahi hai...
chali woh aandhi ki tinka tinka bikhkar gaya aashiyaan ka lekin,
jo tod de mere hauslon ko abhi toofan wo uthaa nahi hai...
kabhi tumhare sitam ke aage meri jabeen kham na ho sakegi,
khuda ke darbaar ke alaawa kahiin bhi ye sar jhuka nahi hai...
 

(Shabeena adeeb)

Altaf Zia

kafas mein hoon mujhe azaadiyaan awaaz deti hain,
mere par khol do purvaaiyaan awaaz deti hain...


tumhari yaad se kab tak main apne dil ko behlaoon
chale aao meri tanhaaiyaan awaaz deti hain...


hawaa khushboo se khaali hai fazaa mein ek ghutan si hai
kahaan hain phool waale titliyaan awaaz deti hain...


na jaane kis ghadi kaisi khataayein ho gayi aakhir
humein har mod par rusvaaiyaan awaaz deti hain...


zyaada der main pardes mein ab ruk nahi sakta
mere bachhon ki zimmedaariyaan awaaz deti hain...


bohat oonchi imaarat se utar aao 'zia' saahab
tumhe ab qabr ki gehraaiyaan awaaz deti hain...

 

(Altaf zia)

Sunday, May 29, 2011

Faiz ahmad faiz

nisaar teri galiyon pe ae watan ke jahaan
chali hai rasm ke koi na sar uthaa ke chale
jo koi chaahne waale tawaaf ko nikle
nazar jhuka ke chale jism o jaan bacha ke chale

Munawwar Rana

ye darweshon ki basti hai yahaan aisa nahi hoga
libaas e zindagi phat jaayega maila nahi hoga
share bazaar mein qeemat uchhalti girti rehti hai
magar ye khoon e muflis hai kabhi mehenga nahi hoga...



qalandar sang e marmar ke makaanon mein nahi milta
main asli ghee hoon baniye hi dukaanon nahi milta
sagi behnon ka jo rishta hai ye urdu aur hindi mein
kahin duniya ki do zinda zabaanon mein nahi milta...


jism par mitti malenge paak ho jayeinge hum
ae zameen ek din teri khuraak ho jayeinge hum
ae gareebi dekh raste mein hamein mat chhodna
ae ameeri door reh napaak ho jayeinge hum....

Mohabbat par ek ghazal

Mohabbat Se Rehaa Hona Zaroori ho gaya Hai
Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori ho gaya hai...

Wafa Ke Tajrube Karte Hoe To Umr Guzri,
Zara Sa Bewafa Hona Zaroori ho gaya Hai...

Meri Aawaz Tanhai Main Marti Ja Rahi Hai
Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaaroori ho gaya hai...

Bhanwar Main Hai Kayi Barson Se Apni Kashti-E-Jan
Kisi Ka Na-Khuda Hona Zaroori ho gaya hai ...