Monday, July 25, 2011

koi chehra hua roshan na ujaagar aankhein



koi chehra hua roshan na ujaagar aankhein
aainaa dekh rahi thiin meri patthar aankhein... 


tu nigaahon ki zubaan Khoob samajhta hoga 
teri jaanib to utha karti hain aksar aankhein ...


us ko dekha hai to ab shauq ka vo aalam hai 
apne halkon se nikal aayi hain baahar aankhein

Wednesday, July 6, 2011

apni marzii se kahaan apne safar ke ham hain

apni marzii se kahaan apne safar ke ham hain
rukh havaaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain

pehle har chiiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi duusre ghar ke ham hain


vaqt ke saath hai mittii ka safar sadiyon tak
kisko maaluum kahaan ke hain kidhar ke ham hain

chalte rehte hain ki chalna hai musaafir kaa nasiib
sochte rehte hain ki kis rehguzar ke ham hain

gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein ham
har qalamakaar kii benaam khabar ke ham hain

Monday, July 4, 2011

sadaa deti hai Khushbu chaand taare bol padte hain

sadaa deti hai Khushbu chaand taare bol padte hain
nazar jaisi nazar ho to nazaare bol padte hain

tumhari hi nigaahon ne kaha hai ham se ye aksar
tumhaare jism par to rang saare bol padte hain

mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se
agar laharein muKhaatib hon kinaare bol padte hain

zabaaN se baat karane mein jahaan rusvaai hoti hai
vahaaN Khaamosh aaNkhon ke ishaare bol padte hain

chhupaanaa chaahte hain un se dil ka haal ham lekin
hamaare aaNsuon mein gam hamaare bol padte hain

teri paabandiyon se ruk nahin sakatiin ye fariyaaden
agar ham chup rahein to zakhm saare bol padte hain 
 
(Manzar Bhopali)