Sunday, November 25, 2012

taaqatein tumhaari hain aur khuda hamaara hai


taaqatein tumhaari hain aur khuda hamaara hai
aqs par na itraao aaina hamaara hai

umr bhar to koi bhi jang kar nahi sakta
tum bhi toot jaaoge tajruba hamaara hai

gairat-e-jihad apni zakhm khaake jaageingi
pehla waar tum karlo doosra hamaara hai

(Manzar Bhopali)

Sach kahuun mujhko ye unwaan bura lagta hai


Sach kahuun mujhko ye unwaan bura lagta hai
zulm sehta hua insaan bura lagta hai

kis qadar ho gayi masruuf ye duniya apni
ek din thehre to mehmaan bura lagta hai

unki khidmat to bohat duur bahu beton ko
boodhe maa-baap ka farmaan bura lagta hai

mere ALLAH meri naslon ko zillat se nikal
haath phailaaye musalmaan bura lagta hai

(Manzar Bhopali)

Friday, November 23, 2012

Charaag' Apni Thakan Ki Koi Safaayi na de


Charaag' Apni Thakan Ki Koi Safaayi na de
Wo Teergi Hai Ki Ab Khwaab Tak Dikhaayi na de


Bohat Sataate Hain Rishte Jo Toot Jaate Hain,
Khuda Kisi Ko Bhi Toufeeq-e-Aashnaayi na de...

Main Saari Umr Andheron Mein Kaat Sakta Hoon,
Mere Diyon ko magar Roshni Paraayi na de.....

Agar Yehi Teri Duniya ka haal hai Maalik.....
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihaayi na de.....

Saturday, November 17, 2012

Hamaari Eid Kab Hogi


Suna Hai Chaand Niklega,
Suna Hai Eid Bhi Hogi

Hamein To Aasmaan Par Duur Tak,
Kuchh Bhi Nahi Dikhta

Kahaan Wo Chaand Niklega,
Ki Jiske Waaste Hamne
Kabhi Palkein Nahi Jhapkiin

Wo Jiska Raasta Takte,
Hai Guzri Zindagi Apni

Nahi Kuch Bhi Khabaar Ki Wo,
Niklega to Kab Aakhir

Hamaari Muntazir Aankhon ko,
Uski Deed Kab Hogi

Abhi Poocho Nahi Humse,
Hamaari Eid Kab Hogi

Thursday, November 15, 2012

Amn ka jo paigaam sunaane waale hain


Amn ka jo paig'aam sunaane waale hain
galiyon galiyon aag lagaane waale hain

tum le jaao neza khanjar aur talwaar

ham maqtal mein sar le jaane waale hain 

zulm ke kaale baadal se darna kaisa

ye mausam to aane jaane waale hain

beemaaron ka ab to khuda hi haafiz hai

saare maseeha zehar pilaane waale hain

jaan bachaane waale to sab hain lekin

ab kitne imaan bachaane waale hain

ham ko un waliyon ki nisbat haasil hai

dasht ko jo gulzar banane wale hain

bhooka rehkar saail ko khairaat jo de

"Majid" ham bhi ussi gharaane waale hain

Saturday, November 10, 2012

zara sa qatra kaheen aaj agar ubhartaa hai


zara sa qatra kaheen aaj agar ubhartaa hai 
samandaron hi ke lehje mein baat karta hai 

khuli chhaton ke diye kabke bujh gaye hote 
koi to hai jo havaaon ke par qatarta hai 

sharaafaton ki yahaan koi ehmiyat hi nahiin 
kisi ka kuchh na bigaado to kaun darta hai 

zameen ki kaisi waqaalat ho phir nahiin chalti 
jab aasmaan se koi faisla utarta hai 

tum aa gaye ho to phir kuchh chaandni si baatein hon 
zameen pe chaand kahaan roz-roz utartaa hai

Pattharon ki baarish se kaise sar bachaaoge - Manzar Bhopali


Pattharon ki baarish se kaise sar bachaaoge
Tum agar sitamgar ko aaiina dikhaaogey

Ham ko likhne waale ne laazawaal likha hai
Ham to aur ubhrenge jis qadar mitaaoge

Dushmani ki mitti mein pyaar ug nahi sakta
Tumne khaar boye hain phool kaise paaoge

Roz-o-shab sataane ki tumne thaan rakhi hai
Aur yaad aayenge jitnaa tum bhulaaoge 

Soodkhor duniya ka qarz kaise utrega
Apne baad bete par bojh chhod jaaoge

Hamaare dil pe jo zakhmon ka baab likha hai - Manzar Bhopali


Hamaare dil pe jo zakhmon ka baab likha hai
Usi mein waqt ka saaraa hisaab likha hai

Kuchh aur kaam to ham se na ho saka lekin
Tumhare hijr ka ek ek azaab likha hai

Sulook nashtaron jaisa na keejiye hamse
Hamesha aapko hamne gulaab likha hai

Tere wajuud ko mehsuus umr bhar hoga
Tere labon pe jo hamne javaab likha hai

Uunche Uunche naamon ki takhtiyaan jala dena - Manzar Bhopali


Uunche Uunche naamon ki takhtiyaan jalaa dena
Zulm karne waalon ki wardiyaan jalaa dena

Darbadar bhatakna kya daftaron ke jungle mein
Beelche utha lena degreeyaan jalaa dena

Maut se jo dar jaaye zindagi nahi milti
Jang jeetni chaaho kishtiyaan jalaa dena

Phir bahu jalazne ka haq tumhein pohanchta hai
Pehle apne aangan mein betiyaan jalaa dena

Thursday, November 8, 2012

badalate vaqt kaa ik silsilaa saa lagataa hai - Manzar Bhopali


badalate vaqt kaa ik silsila sa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusra sa lagataa hai

tumhaara husn kisi aadmi ka husn nahin

kisi buzurg ki sachchi duaa sa lagta hai

teri nigaah ko tamiiz-e-rang-o-nuur kahaan

mujhe to khuun bhi rang-e-hina sa lagtaa hai

dimaag-o-dil hon agar mutmain to chhaaon hai dhoop

thapedaa loo ka bhi thandi hava sa lagta hai

tumhaara haath jo aaya hai haath mein mere 

ab aitbaar ka mausam hara sa lagta hai

nikal ke dekho kabhi nafraton ke pinjre se

tamaam shehr ka "Manzar" khula sa lagta hai

Monday, October 29, 2012

WAFA HAI ZAAT AURAT KI - Nazm

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi..

WAFAA HAI ZAAT AURAT KI...

Magar Jo Mard Hote Hain,

Boht Be'dard Hote Hain,

Kisi Bhanwray Ki Surat Gul Ki Khushbu Loot Jatay Hain..

Suno.!

Tumko Qasam Meri,

Riwaayat Tod Dena Tum,

Na Tanhaa Chhod Ke Jaana,

Na Ye Dil Tod Ke Jaana,

Magar Phir Yuun Hua Mohsin.!

Mujhe Anjaan Raste Par,

Akela Chhod Kar Usne,

Mera Dil Tod Kar Usne,

Mohabbat

Chhod Di Usne," WAFA HAI ZAAT AURAT KI "

Riwayat Tod Di Usne

Sunday, October 28, 2012

mili havaaon mein udne ki wo sazaa yaaron - Waseem Barelvi


mili havaaon mein udne ki wo sazaa yaaron 
ki main zameen ke rishton se kat gayaa yaaron  

wo bekhayaal musaafir main raastaa yaaron  

kahaan thaa bas mein mere usko roknaa yaaron  

mere qalam pe zamaane ki gard aisi thi 

ki apne baare mein kuchh bhi na likh sakaa yaaron 

tamaam shehr hi jis ki talaash mein gum thaa 

main us ke ghar ka pataa kis-se puuchhtaa yaaron 

Pyaas dariyaaon ki nigaahon se chhupa rakhi hai - Iqbal Ashhar


pyaas dariyaaon ki nigaahon se chhupa rakhi hai
Ek badal se badi aas laga rakhi hai

teri aankhon ki kashish kaise tujhe samjhauun
in charaag'on ne meri neend udaa rakhi hai

kyuun na aa jaaye mehekne ka hunar lafzon ko 
teri chithhi jo kitaabon mein chhupa rakhi hai

teri baaton ko chhupaana nahi aata mujhse
tuune khushboo mere lehje mein basaa rakhi hai

khud ko tanha na samajh lena naye deewaanon
khaak sehraaon ki humne bhi udaa rakhi hai

Bikharti doobti saanson ka ghar kahaan jaaye - Meraj Faizabadi



    Bikharti doobti saanson ka ghar kahaan jaaye
    Safar ke baad mera hamsafar kahaan jaaye…

    Nidhaal shaanon par hai kitne haadsaat ka bojh

    Hamara masa’la ye hai ki sar kahaan jaaye…

    Hamare haath bhi kashkol ban gaye hote

    Magar jo khoon mein hai wo asar kahaan jaaye…

Saturday, October 27, 2012

Ek pagal ka khat....

Usse maine hi likha tha, 
Ke lehje barf ho jayein, 
To phir pighlaa nahi karte, 

Parinde dar ke udd jaayein, 
To phir lauta nahi karte, 

Use maine hi likha tha, 
Yaqeen uth jaye to shayad, 
Kabhi wapas nahi aata, 

Hawaaon ka koi toofan, 
Kabhi barish nahi lata, 

Use maine hi likha tha, 

Ke sheesha toot jaaye to, 
Kabhi phir jud nahi paata, 

Jo manzil se bhatak jaaye, 
Wo raahi mud nahi paata, 

Use kehna wo be'maani adhoora khat, 
Use maine hi likha tha, 

Use kehna ke deewane, 
Mukammal khat nahi likhte...!!!

Friday, October 26, 2012

Nadeem Shad Deobandi : Caroron hoke bhi tum log

Mujhe pardes mein rehkar baraabar yaad aata hai
Wo toota hi sahi lekin bohat ghar yaad aata hai

Khuda ne kaisi gehraayi teri aankhon ko bakhshi hai
main inko dekhta hoon to samandar yaad aata hai

Caroron hoke bhi tum log ghutne tek baithe ho
Mujhe wo 313 ka lashkar yaad aata hai

Thursday, October 25, 2012

Betiyon ke bhi liye haath uthaao "Manzar" - By Manzar Bhopali

Zindagi ke liye itna nahi maanga karte
Maangne waale se kaasaa nahi maanga karte

Malik e Khuld se duniya nahi maanga karte
Yaar !! dariyaaon se qatra nahi maanga karte

Ham wo raahi hain liye phirte hain sar par suraj
ham kabhi pedon se saaya nahi maanga karte

Maine Allah se bas khaak e madeena maangi
log apne liye kya kya nahi maanga karte

Betiyon ke bhi liye haath uthaao "Manzar"
sirf Allah se beta nahi maanga karte


Wednesday, October 24, 2012

Pyaas ka ehsaas dariyaa dekh kar


badh gayaa thaa pyaas ka ehsaas dariyaa dekh kar 
ham palat aaye magar paani ko pyaasa dekh kar 

ham bhi hain shaayad kisii bhatki hui kashti ke log 
chiikhne lagte hain Khwaabon mein jazeera dekh kar 

jis ki jitni haisiyat hai uske naam utnaa Khuluus 
bheek dete hain yahaan ke log kaasaa dekh kar 

maangte hain bheek ab apne mohallon mein faqeer 
bhook bhi mohtaat ho jaati hai khatraa dekh kar 

Khudkushi likhi thi ek bevaa ke chehre par magar 
phir vo zinda ho gayi bachchaa bilakhtaa dekh kar 


Tuesday, October 23, 2012

Ek Nazm pyaar ke naam


Khaamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuchh Posheeda Si Baatein Hain

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuchh Chaahat Ki Barsaatein Hain

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seene Mein Chhupaaye Baithe Hain

Kuch Paaye Bina Kuchh Kho Dena
Ye Pyaar Mein Hamne Seekha Hai

Sooraj Mein, Chand Sitaaron Mein
Har Shai Mein Tumhi Ko Dekha Hai

Dhadkan Mein Bhi Naghmaa Bankar
Saagar Ki Tarah Tum Behte Ho

Ye Pyaar Nahi To Tum hi Kaho?
Phir Pyaar Kise Tum Kehte Ho?

Sunday, October 21, 2012

Khoobsurat Qataa'

Bade logon mein ham chhoton ke qad oonche nahi hote

Darakhton mein jo ugty hain shajar oonche nahi hote


Hamein bhi sar bulandi ki tamanna tang karti hai


Magar ham doosron ko rond kar kabhi oonche nahi hote

Thursday, October 18, 2012

Mohabbat Karo !


Zindagi usne ataa ki hai mohabbat ke liye
Dilrubaai ke liye pyaar ki jannat ke liye

Uljhane paal ke mat zindagi dushwaar karo
Khoobsurat hai bohot khoob isse pyaar karo

Subah ko khilte gulaabon mein sajaao isko
Raat ko raat ki raani se milaao isko

Zindagi aisi guzaaro ke ye hasti hi rahe
Chuudiyon ki tarah din raat khanakti hi rahe

Saath jab tak hai mohabbat ki panaaho mein raho
Pyaar hi pyaar karo pyaar ki baahon mein raho

Saturday, October 6, 2012

Is Gham Mein Koi Meri Tarah Mubtila Bhi Ho


Lafzon Main Soz Aayega, Lekin Ye Shart Hai,
Is Gham Mein Koi Meri Tarah Mubtila Bhi Ho....


Tanha Bhatak Raha Huun Sar-e-Dasht Aagahi,
Aawaaz De Koi, Ki Mujay Hausla Bhi Ho....

Thursday, June 7, 2012

Ae Chand !! Yahaan Na Niklaa Kar

Ae Chand !! Yahaan Na Niklaa Kar,
Benaam Se Sapne Dikhlaa Kar,


Yahaan Ulti Ganga Behti Hai,
Is des Mein Andhe haakim Hain,


Na Darte Hain Na Naadim Hain,
Na Logon Ke woh Khaadim Hain,


Hai Yahaan Pe Kaarobaar Bohat,
Is Des Mein Gurde Bikhte hain,


Kuchh Log Hain Aali Shaan Bohat,
Aur Kuchh Ka Maqsad Roti Hai,


Wo Kehte Hain Sab Achhaa Hai,
Aur zulm Ka Raaj Hi Sachha Hai,


Yeh Des Hai Andhe Logon Ka,
Ae Chand !! Yahan na Nikla Kar...

main pyaas ka sehra huun wo barsaat ki manind

maqrooz ke bigde hue haalaat ki manind
majboor ke honton pe sawalaat ki manind


dil ka teri chaahat mein ajab haal hua hai
selaab se barbaad makaanaat ki manind


main unmein bhatakte hue jugnuu ki tarah huun
us shakhs ki aankhein hain kisi raat ki manind


dil roz sajaata huun main dulhan ki tarah se
gham roz chale aate hain baraat ki manind


ab ye bhi nahi yaad ki kyaa naam tha uska
jis shakhs ko maanga tha manajaat ki manind


kis darja muqaddas hai tere qurb ki khwaahish
masoom se bachhe ke khayalaat ki manind


us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hai
main pyaas ka sehra huun wo barsaat ki manind

Friday, May 11, 2012

MUJHKO RUSWAA SARE MEHFIL TO NA KARWAAYA KARE....



   MUJHKO RUSWAA SARE MEHFIL TO NA KARWAAYA KARE
KAASH AANSOO MERI AANKHON MEIN HI REH JAAYA KARE    

    AI HAWA MAINE TO BAS USKA PATA POOCHHA THAA
AB KAHAANI TO NA HAR BAAT KI BAN JAAYA KARE   

    BAS BOHUT DEKH LIYE KHWAAB SUHAANE DIN KE
AB WO BAATON KI RIFAAQAT SE NA BEHLAAYA KARE   

    IK MUSEEBAT TO NAHEE TOOTEE HAI SO IS DIL PER
JIS QAYAAMAT NE GUZARNA HAI GUZAR JAAYA KARE  

  DIL NE AB SOCH LIYAA HAI KE YEH ZAALIM DUNIYA
JO BHI KARNA HAI KARE MUJHKO NA ULJHAAYA KARE    

   JIS KE KHWAABON KO MAIN AANKHON MEIN SAJAA KAR RAKHHOON
USKI KHUSHBOO KABHI MUJHKO BHI TO MEHKAAYA KARE   

Wednesday, April 18, 2012

Main jo mehka to meri saakh jala di usne


Main jo mehka to meri saakh jalaa di usne
Sabz mausam mein mujhay zard hawaa di usne

Pehle ek lamhe ki zanjeer se baandha mujhko
Aur phir waqt ki raftaar barhaa di usne

Meri nakaam mohabbat mujhe waapis kar di
Yuun mere haath meri laash thamaa di usne

Wo jaanta tha mujhe maut sukuun bakhshaygee
Wo sitamgar tha so jeene ki dua di usne


Thursday, April 5, 2012

Baadalon ka kaafila aataa huaa achhaa lagaa



Baadalon kaa kaafilaa aataa huaa achhaa lagaa 
pyaas kii dhartii ko har saavan badaa achhaa lagaa 

us bharii mehfil mein uska chand lamhon ke liye 
mujh se milna baat karna dekhnaa achhaa lagaa 

jin ka sach hona kisii suurat se bhii mumkin na thaa 
aisi aisi baatein aksar sochna achhaa lagaa 

vo to kya aata magar Khushfahmiyon ke saath saath 
saarii saarii raat ham ko jaagnaa achhaa lagaa 
 

Monday, April 2, 2012

Tu aik waqt tha jisko bhulaa dia maine




Tu aik waqt tha jisko bhulaa dia maine 
har aik yaad ka gulshan jala dia maine 


wo pyaar jiske qasiide kayi likhe the kabhi 
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia maine 


thi apni manzil e hasrat jo aik mohabat ki 
usse mazaar ka manzar bana dia maine 


na tumse koi gilaa hai na ab shikaayat hai 
tumhari raah se khudko hataa dia maine 


nazar mila ke jo dekhoge jaan jaaoge 
ke kaise tum ko nazar se giraa dia maine 


meri wafaa ka janaza tha is qadar ghamgeen 
ke pathharon ko bhi gham se rula dia maine 

Tera khayaal bohat der tak naheen rehta


Tera khayaal bohat der tak naheen rehta
Koi malaal bohat der tak naheen rehta


Udaas karti hai aksar tumhaari yaad mujhe
Magar yeh haal bohat der tak naheen rehta


Main rezaa rezaa to hota hoon har shikast ke baad
Magar nedhaal bohat der tak naheen rehta


Main jaanta hoon, sooraj hoon doob jaauun bhi to
Mujhe zawaal bohat der tak naheen rehta

Saturday, March 31, 2012

Talluq Todta Hoon To Mukammal Tod Deta Hoon


Talluq Todta Hoon To Mukammal Tod Deta Hoon
Jise Main Chhod Deta Hoon Mukammal Chhod Deta Hoon 


Mohabbat Ho Ke Nafrat, Bhara Rehta Hoon Shiddat Se 
Jidhar Se Aaye Ye Darya, Udhar Hee Mod Deta Hoon 


Yaqeen Rakhta Nahi Hoon Main Kisi Kache Talluq Par
Jo Dhaaga Tootne Wala Ho Us Ko Tod Deta Hoon


"Adeem" Ab Tak Wahi Bachpan, Wahi Takhreeb Kaari Hai 
Qafas Ko Tod Deta Hoon, Parinde Chhod Deta Hoon

Gham-E-zindagi sunauun mEra mulk jal raha hai,


Gham-E-zindagi sunauun mera mulk jal raha hai,
Main khushi kahaan sE lauun mera mulk jal raha hai....

Tumhein ye gila hai janaa ke mizaaj kyuun hai barham,
Kaho kaise muskrauun mera mulk jal raha hai....

Tumhein Eid ki khushi hai mujhe Yaad hai wo lekin,
Main Ye kaise bhool jauun mera mulk jal raha hai....

Hai dagar dagar Asaarat hai qadam qadam Shahaadat,
Sar e raah dagmagauun mera mulk jal raha hai....

Mera zakhm zakhm seena to lahu lahu safina,
Main nishat kaise pauun mera mulk jal rha hai....

Friday, March 30, 2012

Hum Ehl-e-Wafa Husn ko


Hum Ehl-e-Wafa Husn Ko Ruswaa Nahi Karte,
Pardaa Bhi Uthe Rukh se to Dekha Nahi Karte,

Rakhte Hain Jo Auroun ke Liye Pyaar Ka Jazbaa,
Wo Log Kabhi Toot Ke Bikhra Nahi Karte,

Kehti Hai to Kehti Rahe Maghroor Ye Duniya,
Hum Mud Ke Kisi shakhs Ko Dekha Nahi Karte,

Hum Log Ba-Wafa Hain, Bad-Naam Hain Lekin,
Jo Log Muqaddas Hain, Kya Kya Nahi Krtay,

Ikhlaas Ki Jageer Ko Hum Ehl-e-Mohabbat,
Taqseem to Kar Lete Hain Bechaa Nahi Karte. 

Chaahaton ki jo barish kare.....


chaahaton ki jo baarish kare aisa badal mile na mile
ghar se nikle to ho soch lo maa ka aanchal mile na mile...

dil mein armaan na rakhna koi mujhko jee bharke tadpaiye
kya khabar hai ki kal aapko mujhsa pagal mile na mile...

bewafa hum hain ya aap hain aaj hal kar lein ye mas'alaa 
kal ki kisko khabar kya pata kal koi hal mile na mile...


(Nadeem Shad Deobandi)

Dedicated to the People in USA


siyaahiyon ke parastaar log rehte hain
ye har taraf jo chamakdaar log rehte hain.....


bohat qareeb se main jaake dekh aaya hoon
safed ghar mein siyaahkaar log rehte hain.... 


main sochta tha maseeha ka saamna hoga
magar yahaan pe to bimaar log rehte hain.....


                          (Rahat Indori)                                        

Do misre.....


Ibn-e Adam hai bhook se behaal
aap kutton ko paalte rahiye...
phir na mohlat mile kabhi shayad
aap hasrat nikaalte rahiye...

Mohabbat ab nahi hogi.....


Sitaare jo damakte haiN.


Kisi ki chashm-e-hairaaN maiN.


MulaaqateiN jo hoti haiN .


Jamal-e-abr-o-baraaN maiN.


Yeh na abaad waqtoN maiN.


Dil-e-nashaad meiN ho gi.


Mohabbat ab nahi ho gi.


Yeh kuch din baad meiN ho gi.


Guzar jaaeiNgey jab yeh din.


Yeh unki yaad meiN ho gi .


Mohabbat ab nahi ho gi.


Yeh kuch din baad meiN ho gi