Tuesday, January 29, 2013

Chaahtaa hai


terii zad se nikalnaa chaahtaa hai 
ye dariyaa rukh badalnaa chaahtaa hai 

mujhe bhii saamnaa hai karbalaa ka 
mera sar bhii uchhalnaa chaahtaa hai 

nahiin hai tarjumaan-e-g'am ye aansuu 
ye paanii ab ubalnaa chaahtaa hai 

tabassum zer-e-lab kehtaa hai 'Amjad' 
koii jazbaa machalnaa chaahtaa hai

Tum yaad hamein bhi kar lena


kuchh khwaab sajaa ke palkon pe
tum chaand se batein kar lena

hum yaad tumhein to karte hain
tum yaad hamein bhi kar lena

kuchh baat na ho jab aise hii
nam aankh tumhaari ho jaaye

tum baat kahiin pe karte ho
dil aur kahiin pe kho jaaye

jazbaat ke aise aalam mein
muskaan labon pe bhar lena

ham yaad tumhein to karte hain
tum yaad hamein bhi kar lena

Bohat aasaan lagta hai


Kabhi teri rafaaqat se nikalna hi nahi mumkin
Kabhi daaman chhuda lenaa bohat aasaan lagta hai

Kabhi tum rooth jaao to ajab mushkil si padti hai
Kabhi tujhko manaa lenaa bohat asaan lagta hai

Kabhi samjha karo kuchh faisle haalaat karte hain
Kabhi waade nibhaa lenaa bohat asaan lagta hai

Kabhi kuchh din tumhare bin guzarte hii nahiin lekin
Kabhi muddat bitaa denaa bohat asaan lagta hai