Tuesday, October 15, 2013

Mere qaatil ko pukaaro

Mere qaatil ko pukaaro ki main zindaa huun abhi....

phir se maqtal ko sa'nwaaro ki main zinda huun abhi....

laakh mojo'n me ghira hu abhi dooba to nahi....

mujh ko sahil se pukaro ki main zinda huun abhi....

Yahaan hawas ke pujaari


Yahaan hawas ke pujaari siyaah raaton mein,

Safaid jismon ka jeewan siyaah karte hain


Yahaan pe naachte pairo'n ki thaap bikti hai,

Yahaan pe jaagti aankho'n ke khwaab bikte hain


Yahaan pe phool se honto'n ki pyaas bikti hai,

Yahaan pe jism hain bikte shabaab bikte hain

Friday, June 7, 2013

Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain


Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain,
 Dekhna hadd-e-nazar se aage barh kar dekhna bhi jurm hai,
Sochna apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai, 
Aasmaan dar asmaan asrar ki partein hataakar jhaanka bhi jurm hai, 
Kyuun bhi kehna jurm hai kaise bhi kehna jurm hai, 
Saans lene ki tou azaadi mayassar hai Magar, 
zindaa rehne ke liye insaan ko kuchh aur bhi darkaar hai,
Aur is kuchh aur bhi ka tazkiraa bhi jurm hai, 
Ae hunar mandaan-e-aain-o-siyaasat, 
Ae khudaa-wandaan-e-aiwan-o-aqaid, 
Zindagi ke naam par bus ik inaayat chaahiye, 
Mujhko in saare jaraim ki ijaazat chaahiye....

(Ahmad Nadeem Qasmi)

Monday, May 20, 2013

Marhale Shoq Ke Dushwaar Hua Karte Hain


Marhale Shoq Ke Dushwaar Hua Karte Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Hua Karte Hain

Wo Jo Sach Bolte Rehne Ki Kasam Khaate Hain
Wo Adaalat Mein Gunaah-gaar Hua Karte Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabhi Aakhein Bhi Padho
Kuchh Sawaali Bade Khuddaar Hua Karte Hain

Wo Jo Pathar Yuunhi Raste Mein Pade Rehte Hain
Un Ke Seene Mein Bhi Shaah-kaar Howa Karte Hain

lab par tera naam aa na jaye


Kahiin aah ban ke lab par tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon main, woh maqaam aa na jaye

Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye

Woh jo manzilon pe laakar kisi hamsafar ko lootein,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye

Urooj per hai tumhara mosam....EK NAZM


Urooj per hai tumhara mosam,
Khizaa'n me tumko khareed lenge,
Banoge humse rehem ke taalib,
Na tumko mauqaa mazeed denge,

Adaa ke qisse hue puraane,
Jafaa ka mosam khatam hi samjho,
Kareinge tumse hisaab jaana
Na tumko mohlat mazeed denge,

Wafaa ke laalach mein aake humne,
Lahoo bhi apna sukha diyaa hai,
Fareb'o'masti k badle tumko,
Saza bhi sunlo shadeed deinge,

Urooj par hai tumhaara mosam,
Khizaa'n mein tumko khareed lenge

Raqs karti hain.....


Mere khwaabon ke gulshan me khizaayen RAQS karti hain..
Mere honto ki larzish mein wafaayen RAQS karti hain...

Mujhe wo laakh tadpaaye magar us shakhs ki khaatir..

Mere dil ke andheron mein duaayen RAQS karti hain..

Use kehna ke laut aaye sulagti shaam se pehle...

Kisi ki khushk aankhon mein sadaayen RAQS karti hain..

Khuda jaane teri yaadon mein aisi kya kashish hai dost...

Main tera zikr chherhoon to hawaayen RAQS karti hain...

Tuesday, January 29, 2013

Chaahtaa hai


terii zad se nikalnaa chaahtaa hai 
ye dariyaa rukh badalnaa chaahtaa hai 

mujhe bhii saamnaa hai karbalaa ka 
mera sar bhii uchhalnaa chaahtaa hai 

nahiin hai tarjumaan-e-g'am ye aansuu 
ye paanii ab ubalnaa chaahtaa hai 

tabassum zer-e-lab kehtaa hai 'Amjad' 
koii jazbaa machalnaa chaahtaa hai

Tum yaad hamein bhi kar lena


kuchh khwaab sajaa ke palkon pe
tum chaand se batein kar lena

hum yaad tumhein to karte hain
tum yaad hamein bhi kar lena

kuchh baat na ho jab aise hii
nam aankh tumhaari ho jaaye

tum baat kahiin pe karte ho
dil aur kahiin pe kho jaaye

jazbaat ke aise aalam mein
muskaan labon pe bhar lena

ham yaad tumhein to karte hain
tum yaad hamein bhi kar lena

Bohat aasaan lagta hai


Kabhi teri rafaaqat se nikalna hi nahi mumkin
Kabhi daaman chhuda lenaa bohat aasaan lagta hai

Kabhi tum rooth jaao to ajab mushkil si padti hai
Kabhi tujhko manaa lenaa bohat asaan lagta hai

Kabhi samjha karo kuchh faisle haalaat karte hain
Kabhi waade nibhaa lenaa bohat asaan lagta hai

Kabhi kuchh din tumhare bin guzarte hii nahiin lekin
Kabhi muddat bitaa denaa bohat asaan lagta hai