Sunday, November 25, 2012

taaqatein tumhaari hain aur khuda hamaara hai


taaqatein tumhaari hain aur khuda hamaara hai
aqs par na itraao aaina hamaara hai

umr bhar to koi bhi jang kar nahi sakta
tum bhi toot jaaoge tajruba hamaara hai

gairat-e-jihad apni zakhm khaake jaageingi
pehla waar tum karlo doosra hamaara hai

(Manzar Bhopali)

Sach kahuun mujhko ye unwaan bura lagta hai


Sach kahuun mujhko ye unwaan bura lagta hai
zulm sehta hua insaan bura lagta hai

kis qadar ho gayi masruuf ye duniya apni
ek din thehre to mehmaan bura lagta hai

unki khidmat to bohat duur bahu beton ko
boodhe maa-baap ka farmaan bura lagta hai

mere ALLAH meri naslon ko zillat se nikal
haath phailaaye musalmaan bura lagta hai

(Manzar Bhopali)

Friday, November 23, 2012

Charaag' Apni Thakan Ki Koi Safaayi na de


Charaag' Apni Thakan Ki Koi Safaayi na de
Wo Teergi Hai Ki Ab Khwaab Tak Dikhaayi na de


Bohat Sataate Hain Rishte Jo Toot Jaate Hain,
Khuda Kisi Ko Bhi Toufeeq-e-Aashnaayi na de...

Main Saari Umr Andheron Mein Kaat Sakta Hoon,
Mere Diyon ko magar Roshni Paraayi na de.....

Agar Yehi Teri Duniya ka haal hai Maalik.....
To Meri Qaid Bhali Hai Mujhe Rihaayi na de.....

Saturday, November 17, 2012

Hamaari Eid Kab Hogi


Suna Hai Chaand Niklega,
Suna Hai Eid Bhi Hogi

Hamein To Aasmaan Par Duur Tak,
Kuchh Bhi Nahi Dikhta

Kahaan Wo Chaand Niklega,
Ki Jiske Waaste Hamne
Kabhi Palkein Nahi Jhapkiin

Wo Jiska Raasta Takte,
Hai Guzri Zindagi Apni

Nahi Kuch Bhi Khabaar Ki Wo,
Niklega to Kab Aakhir

Hamaari Muntazir Aankhon ko,
Uski Deed Kab Hogi

Abhi Poocho Nahi Humse,
Hamaari Eid Kab Hogi

Thursday, November 15, 2012

Amn ka jo paigaam sunaane waale hain


Amn ka jo paig'aam sunaane waale hain
galiyon galiyon aag lagaane waale hain

tum le jaao neza khanjar aur talwaar

ham maqtal mein sar le jaane waale hain 

zulm ke kaale baadal se darna kaisa

ye mausam to aane jaane waale hain

beemaaron ka ab to khuda hi haafiz hai

saare maseeha zehar pilaane waale hain

jaan bachaane waale to sab hain lekin

ab kitne imaan bachaane waale hain

ham ko un waliyon ki nisbat haasil hai

dasht ko jo gulzar banane wale hain

bhooka rehkar saail ko khairaat jo de

"Majid" ham bhi ussi gharaane waale hain

Saturday, November 10, 2012

zara sa qatra kaheen aaj agar ubhartaa hai


zara sa qatra kaheen aaj agar ubhartaa hai 
samandaron hi ke lehje mein baat karta hai 

khuli chhaton ke diye kabke bujh gaye hote 
koi to hai jo havaaon ke par qatarta hai 

sharaafaton ki yahaan koi ehmiyat hi nahiin 
kisi ka kuchh na bigaado to kaun darta hai 

zameen ki kaisi waqaalat ho phir nahiin chalti 
jab aasmaan se koi faisla utarta hai 

tum aa gaye ho to phir kuchh chaandni si baatein hon 
zameen pe chaand kahaan roz-roz utartaa hai

Pattharon ki baarish se kaise sar bachaaoge - Manzar Bhopali


Pattharon ki baarish se kaise sar bachaaoge
Tum agar sitamgar ko aaiina dikhaaogey

Ham ko likhne waale ne laazawaal likha hai
Ham to aur ubhrenge jis qadar mitaaoge

Dushmani ki mitti mein pyaar ug nahi sakta
Tumne khaar boye hain phool kaise paaoge

Roz-o-shab sataane ki tumne thaan rakhi hai
Aur yaad aayenge jitnaa tum bhulaaoge 

Soodkhor duniya ka qarz kaise utrega
Apne baad bete par bojh chhod jaaoge

Hamaare dil pe jo zakhmon ka baab likha hai - Manzar Bhopali


Hamaare dil pe jo zakhmon ka baab likha hai
Usi mein waqt ka saaraa hisaab likha hai

Kuchh aur kaam to ham se na ho saka lekin
Tumhare hijr ka ek ek azaab likha hai

Sulook nashtaron jaisa na keejiye hamse
Hamesha aapko hamne gulaab likha hai

Tere wajuud ko mehsuus umr bhar hoga
Tere labon pe jo hamne javaab likha hai

Uunche Uunche naamon ki takhtiyaan jala dena - Manzar Bhopali


Uunche Uunche naamon ki takhtiyaan jalaa dena
Zulm karne waalon ki wardiyaan jalaa dena

Darbadar bhatakna kya daftaron ke jungle mein
Beelche utha lena degreeyaan jalaa dena

Maut se jo dar jaaye zindagi nahi milti
Jang jeetni chaaho kishtiyaan jalaa dena

Phir bahu jalazne ka haq tumhein pohanchta hai
Pehle apne aangan mein betiyaan jalaa dena

Thursday, November 8, 2012

badalate vaqt kaa ik silsilaa saa lagataa hai - Manzar Bhopali


badalate vaqt kaa ik silsila sa lagataa hai
ke jab bhii dekho use duusra sa lagataa hai

tumhaara husn kisi aadmi ka husn nahin

kisi buzurg ki sachchi duaa sa lagta hai

teri nigaah ko tamiiz-e-rang-o-nuur kahaan

mujhe to khuun bhi rang-e-hina sa lagtaa hai

dimaag-o-dil hon agar mutmain to chhaaon hai dhoop

thapedaa loo ka bhi thandi hava sa lagta hai

tumhaara haath jo aaya hai haath mein mere 

ab aitbaar ka mausam hara sa lagta hai

nikal ke dekho kabhi nafraton ke pinjre se

tamaam shehr ka "Manzar" khula sa lagta hai