Wednesday, April 18, 2012

Main jo mehka to meri saakh jala di usne


Main jo mehka to meri saakh jalaa di usne
Sabz mausam mein mujhay zard hawaa di usne

Pehle ek lamhe ki zanjeer se baandha mujhko
Aur phir waqt ki raftaar barhaa di usne

Meri nakaam mohabbat mujhe waapis kar di
Yuun mere haath meri laash thamaa di usne

Wo jaanta tha mujhe maut sukuun bakhshaygee
Wo sitamgar tha so jeene ki dua di usne


Thursday, April 5, 2012

Baadalon ka kaafila aataa huaa achhaa lagaa



Baadalon kaa kaafilaa aataa huaa achhaa lagaa 
pyaas kii dhartii ko har saavan badaa achhaa lagaa 

us bharii mehfil mein uska chand lamhon ke liye 
mujh se milna baat karna dekhnaa achhaa lagaa 

jin ka sach hona kisii suurat se bhii mumkin na thaa 
aisi aisi baatein aksar sochna achhaa lagaa 

vo to kya aata magar Khushfahmiyon ke saath saath 
saarii saarii raat ham ko jaagnaa achhaa lagaa 
 

Monday, April 2, 2012

Tu aik waqt tha jisko bhulaa dia maine




Tu aik waqt tha jisko bhulaa dia maine 
har aik yaad ka gulshan jala dia maine 


wo pyaar jiske qasiide kayi likhe the kabhi 
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia maine 


thi apni manzil e hasrat jo aik mohabat ki 
usse mazaar ka manzar bana dia maine 


na tumse koi gilaa hai na ab shikaayat hai 
tumhari raah se khudko hataa dia maine 


nazar mila ke jo dekhoge jaan jaaoge 
ke kaise tum ko nazar se giraa dia maine 


meri wafaa ka janaza tha is qadar ghamgeen 
ke pathharon ko bhi gham se rula dia maine 

Tera khayaal bohat der tak naheen rehta


Tera khayaal bohat der tak naheen rehta
Koi malaal bohat der tak naheen rehta


Udaas karti hai aksar tumhaari yaad mujhe
Magar yeh haal bohat der tak naheen rehta


Main rezaa rezaa to hota hoon har shikast ke baad
Magar nedhaal bohat der tak naheen rehta


Main jaanta hoon, sooraj hoon doob jaauun bhi to
Mujhe zawaal bohat der tak naheen rehta