Wednesday, July 6, 2011

apni marzii se kahaan apne safar ke ham hain

apni marzii se kahaan apne safar ke ham hain
rukh havaaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain

pehle har chiiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi duusre ghar ke ham hain


vaqt ke saath hai mittii ka safar sadiyon tak
kisko maaluum kahaan ke hain kidhar ke ham hain

chalte rehte hain ki chalna hai musaafir kaa nasiib
sochte rehte hain ki kis rehguzar ke ham hain

gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein ham
har qalamakaar kii benaam khabar ke ham hain

No comments:

Post a Comment