Thursday, June 7, 2012

main pyaas ka sehra huun wo barsaat ki manind

maqrooz ke bigde hue haalaat ki manind
majboor ke honton pe sawalaat ki manind


dil ka teri chaahat mein ajab haal hua hai
selaab se barbaad makaanaat ki manind


main unmein bhatakte hue jugnuu ki tarah huun
us shakhs ki aankhein hain kisi raat ki manind


dil roz sajaata huun main dulhan ki tarah se
gham roz chale aate hain baraat ki manind


ab ye bhi nahi yaad ki kyaa naam tha uska
jis shakhs ko maanga tha manajaat ki manind


kis darja muqaddas hai tere qurb ki khwaahish
masoom se bachhe ke khayalaat ki manind


us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hai
main pyaas ka sehra huun wo barsaat ki manind

No comments:

Post a Comment