Friday, June 7, 2013

Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain


Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain,
 Dekhna hadd-e-nazar se aage barh kar dekhna bhi jurm hai,
Sochna apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai, 
Aasmaan dar asmaan asrar ki partein hataakar jhaanka bhi jurm hai, 
Kyuun bhi kehna jurm hai kaise bhi kehna jurm hai, 
Saans lene ki tou azaadi mayassar hai Magar, 
zindaa rehne ke liye insaan ko kuchh aur bhi darkaar hai,
Aur is kuchh aur bhi ka tazkiraa bhi jurm hai, 
Ae hunar mandaan-e-aain-o-siyaasat, 
Ae khudaa-wandaan-e-aiwan-o-aqaid, 
Zindagi ke naam par bus ik inaayat chaahiye, 
Mujhko in saare jaraim ki ijaazat chaahiye....

(Ahmad Nadeem Qasmi)

1 comment: