Sunday, June 5, 2011

Manzar Bhopali ki ghazal

zulf-o-rukh ke saaye meiN zindagii guzaari hai
dhoop bhi hamaari hai, chhaaNv bhi hamaari hai

Ghamgusaar chehroN par, aitbaar mat karna
shehr meiN siyaasat ke, dost bhii shikaarii hai

mod lene waali hai zindagi koii shaayad
ab ke phir havaaoN meN ek beqaraari hai

haal KhooN meiN Dooba hai, kal na jaane kyaa hogaa
ab ye Khauf-e-mustaqbil zehan-zehan taarii hai

mere hi buzurgoN ne sar-bulandiyaaN bakhshiiN
mere hi qabeele par mashq-e-saNg-baarii hai

ik ajeeb ThaNDak hai, us ke narm lahjay meN
lafz-lafz shabnam hai, baat-baat pyaarii hai
 
baap bojh Dhotaa thaa, kyaa jahez de paataa
is liye wo shehzaadi aaj tak kuNvaarii hai

kah do Meer-o-Ghalib se, ham bhi sher kahte haiN
wo sadi tumhaari thi, ye sadii hamaari hai

karbalaa nahiiN lekin, jhooT aur sadaaqat meiN
kal bhii jaNg jaari thi, ab bhii jaNg jaari hai

gaaNv meN muhabbat kii rasm hai abhii “Manzar”
shehr meiN hamaare to, jo bhii hai madaari hai

No comments:

Post a Comment